Best Face Glow Tips for Radiant Skin in hindi: Unlock Your Natural Beauty"
1-) Nimbu ka ras: Nimbu ka ras chehre par lagane se twacha ka rang nikhar jaata hai aur daag-dhabbe bhi kam hote hain. Raat ko sone se pehle nimbu ka ras chehre par lagayein aur subah dho lein.
2-) Doodh aur gulab jal: Doodh aur gulab jal ko barabar matra mein milakar chehre par lagane se hamari skin ko poshan milta hai aur chamak aati hai. Isse skin ko nami bhi milti hai.
Multani mitti |
3-) Multani mitti: Multani mitti oily skin ke liye bahut faydemand hai. Multani mitti ko pani ya gulab jal ke saath milakar chehre par lagayein. Jab yeh sookh jaaye to ise dho lein. Yeh twacha ke tel ko absorb karta hai aur chehre ko tazgi dene mein madad karta hai.
4-) Shahad aur besan: Shahad aur besan ko milakar paste banayein aur chehre par lagayein. Yeh skin ko moisturize karta hai aur daag-dhabbe kam karta hai. Ise hafte mein do baar karne se accha result milta hai.
5-) Tamatar: Tamatar ke ras mein thoda sa nimbu ka ras milakar chehre par lagane se daag-dhabbe kam hote hain aur skin ka rang nikhar jaata hai.
6-) Aloevera gel: Aloe vera gel twacha ke liye ek qudrati moisturizer hai. Ise chehre par lagane se skin ko poshan milta hai aur chamak aati hai.
7-)Badam ka tel: Badam ka tel chehre par lagane se twacha mei nami aati hai aur aapki twacha mulayam aur sundar dikhti hai. Raat ko sone se pehle thoda badam ka tel chehre par lagayein aur subah dho lein.
Dahi se facial:
Dahi apne aap me ek complete aushidhi hai. Dahi ek nahi balki aneko tareeqe se hume fayda pahunchata hai.
To chaliye dekhte hain dahi se facial kaise kiya jaye.
Toner :-
Dahi humari skin k liye toner ka kaam kerta hai. Plain dahi ko directly apni skin per lagayen Or kuch der ke liye chhod den, phir thande pani se dho len.
Scrub :-
2 spoon dahi me thodi si cheeni mix karen or halke hathon se scrub karen. 5-10 minutes massage karen phir dho len.
2 spoon dahi me 1 spoon besan mila ker bhi face per Scrub kiya ja sakta hai.
2 spoon dahi me thoda sa aata or thoda gulab jal mila ker bhi aap scrub ker sakte hain, jo ki humari skin ke liye bahut hi healthy hota hai.
Massage cream :-
Thode se dahi me Aloe vera gel milayen or halke halke hathon se circular motion me 5-10 minutes massage karen. Phir thande pani se dho ker saaf karen.
Face pack :-
Face pack banane ke liye thoda dahi len phir usme chiraunji pees ker mix karen, Aloevera gel dalen or thode se doodh (milk) se paste bana len or face per laga ker chhod den. Sookh jane per pani se wash ker den.
Special tips:
- Rozana kam se kam 8-10 glass pani piyen.
- khul ker hasen or khush rahen.
- Apni twacha ki niyamit roop se dekh-bhal karen.
To Friends hain na bilkul asaan se or sabse saste nuskhe.......😊😊😊😊😊
Q. Chehre per glow lane ke liye kya kerna chahiye ?
Ans- Taral padarth ka sevan: Rojana pani ka adhik se adhik sevan kare aur anya taral padarth jaise nariyal pani, nimbu pani, pudine ka pani, shikanji aadi piye. Ye chehre ki chamak ko badhane mein madad karte hain.
Q. Raat ko sone se pehle kya lagana chahiye?
Ans-Moisturizer: Agar aapki skin dry hai, toh raat ko sone se pehle moisturizer laga sakte hain. Aap apni skin type ke hisab se moisturizer choose kar sakte hain.
Q. Ladkiyon ke liye sabse acha facewash konsa hota hai ?
Ans-Tea tree oil facewash: Tea tree oil antimicrobial guno se bhara hota hai aur ise oily aur acne prone twacha ke liye samanya taur par sujhaya jata hai. Ye bacteria ko kam karne mein madad karta hai aur muhason aur jhuriyon ko kam karne mein sahayak hota hai. Aloe vera facewash: Aloe vera facewash naram karne wale aur tvacha ko tarotaaza karne wale guno se bhara hota hai. Ye jhaiyon, tanning aur tvacha ke rang ko sahi karne mein madad karta hai. Iske alawa ye tvacha ko nami pradaan karta hai.
Q. Khoobsurati badhane ke liye kya khana chahiye ?
Ans- Phal aur Sabziyaan: Prakritik phal aur sabziyaan jaise ki tarbooz, kheera, lauki, kela, anar, nimbu, tamatar, gajar, palak, broccoli, aur muli aapke chehre ki chamak aur twacha ki sehat ko badhane mein madad karte hain. Poshtik Anaaj: Jaise ki gehu, chawal, jau, daliya, aur oats. Ye poshtik anaaj aapki twacha ko saaf aur radiant banane mein madad karte hain.
Q. Konsa tel lagane se chehra saaf hota hai ?
Ans- Chehre ki safayi ke liye badaam tel bahut hi acha mana jata hai. Badaam tel chehre ki rangat ko nikharta hai or chehre per shine laata hai.
Q.Kya bhaap lene se chehra kaala ho jata hai ?
Ans-Nahi, bhaap lene se chehra kaala nahi ho jata hai. Bhaap lene se chehra temporarily garam ho sakta hai ya thoda sa red ho sakta hai, lekin iska koi permanent effect nahi hota. Bhaap lene se pores khulte hai, jisse chehre ki saaf safai hoti hai. Iske alawa, bhaap lene se skin ki moisturization bhi badhti hai.
No comments: