Aloevera se hone wale fayde, istemal ka tareeqa or Savdhaniyan
Introduction:
Aloevera ek prakritik aushadhi hai jo hazaron lakhon guno'n se bharpoor hota hai. Aloevera humari body ke liye ek medicine ki tarah bhi kaam kerta hai. Aloe vera ka gel, podhe ke patton (leaves) ke andar maujood hota hai. Is gel ko prakratik roop se hi istemal kiya ja sakta hai.
ALOEVERA |
Aloevera me paye jane wale tatva:
Isme kai poshak tatva hote hain, jaise ki...
Vitamin C
Vitamin E
Beta-caroten
Folic acid
Iske alawa, yeh podha mineral tatva jaise ki chandan, zinc, calcium aur magnesium se bhi bharpur hota hai.
Aloevera se hone wale fayde:
Waise to Aloevera gel ko use ker ke bahut si problem ko door kiya ja sakta hai, lekin aajkal iska use ek beauty product ke roop me sabse zyada kiya ja raha hai. To chaliye dekhte hain kaise ise beauty product ke roop me istemal kar sakte hain.
1-) Twacha ke liye faydemand: Aloe vera twacha ke liye bahut hi faydemand hai. Isme maujood antioxidants twacha ko nourish karte hai aur uski chamak aur saundarya ko badhate hai. Iski gel twacha ke daag-dhabbe, jhurriyo, aur acne par lagane se unki samasya mein kami aati hai.
2-) Baalon ke liye: Aloe vera baalo ke liye bhi bahut faydemand hai. Iske ras ko baalo mein lagane se baal mazboot, chamakdar aur ghane hote hai. Aloe vera ke istemal se baalon ka girna bhi kam hota hai. Dandruff aur scalp infection ki samasya bhi kam hoti hai.
People also read:24k gold serum ke fayde https://beautytipsgarden.blogspot.com/2023/07/24k-gold-serum.html
3-) pigmentation (jhaaiyan) problem: pigmentation ki problem ko door kerne ke liye Aloevera gel ko nikal ker mixer me grind ker len ab isme olive oil ya coconut oil dalen, phir isme thodi si cheeni mix karen or halke hathon se pigmentation wali jagah per apply karen. 5-6 minute tak scrub ker ke pani se dho len.
4-) skin tanning: Suraj ki kirno se humari skin me tanning ho jati hai or ye dark dikhne lagti hai, ise khatam kerne ke liye Aloevera ka chhota tukda len, use coconut oil me 1 minute ke liye dubaye or face per 3 se 4 minute tak massage karen.
5-) Dull skin: dull skin se chhutkara pane ke liye Aloevera gel ko nikal ker ek bowl me ker len. Ab isme thoda sa honey (shahad) milayen or face per laga ker 10- 15 minute ke liye chhod den, uske baad pani se dho ker saaf karen.
6-) Stretch marks: stretch marks ko door kerne ke liye Aloevera gel me thodi si petroleum jelly or coconut oil mix karen, phir stretch marks wali jagah per apply ker k 15 minute ke liye laga rahne de. Uske baad halke hathon se massage karen or pni se dho len. Ise rozana apply karen, aap dekhenge ki stretch marks kuch hi dino me poori tarah gayeb ho jayenge.
Aloevera gel ko use kerne ke tareeqe:
- Aloevera gel me thodi si haldi milayen or face per apply ker ke 10 minute ke liye chhod den.
- Aloevera gel me thoda sa coffee powder dalen or olive oil ke sath mix ker ke apne ghutno, kohniyon or pairon ke gatton per lagayen or halke hath se massage karen.
- Aloevera leaf ko bina kuch milaye directly face per apply kerne se skin soft hoti hai or shine aati hai.
- Aloevera gel ko raat me sone se pehle apni phati ediyon per lagayen or kamaal dekhen.
- Aloevera gel me thoda rose water (gulab jal) or ek vitamin E capsule dalein or ise face per lagayen. Ise hafte me 2-3 baar apply karein or payen nikhri bedagh tawacha.
Aloevera ka upyog aushadhi, twacha ke liye products, aur swasth ke anya kshetron mein kafi prachalit hai. Halaanki, kuch logo ko aloevera ke istemaal se kuch nuksaan bhi ho sakte hain. Yahan kuch aam aloevera ke nuksaan hai:
Twacha par allergic reaction: Kuch logon ko aloevera se twacha par allergic reaction ho sakta hai, jaise ki jalan, khujli, ya lalima. Allergy ki sthiti mein aloevera ke istemaal se pehle ek chhoti si skin patch test karna upyogi ho sakta hai.
Dast aur pet mein gadbad: Aloevera ka jyada sevan karne se kuch logo ko pet mein gadbad, dast, ya pait ki samasya ho sakti hai. Iska karan aloevera ke kuch tatvon ka pet ke liye prakritik laxative (pet saaf karne wala) ke roop mein kaam karna hai.
Pregnancy aur breastfeeding ke dauraan: Aloevera ke istemaal ko garbhavastha aur stanpan (breastfeeding) ke dauraan saavdhaanee se karna chahiye. Aloevera ke kuch tatvon ke baare mein kam jaankari hone ke kaaran, iski suraksha aur prabhav ke baare mein poore tarike se pata nahi hai.
Diabetes ke rogiyon ke liye: Aloevera ke sevan se blood sugar level kam ho sakta hai. Diabetes ke rogiyon ko aloevera ke upyog se pehle apne doctor se salah leni chahiye, taaki woh iski istemaal ki sahi matra aur tarikon ke baare mein margdarshan kar sake.
Note:
Halaanki aloevera ka sevan aam taur par surakshit hai aur bahut se log iska fayda uthate hain, lekin yadi aapko kisi tarah ka sawaal hai ya aap iska upyog karne se pehle chintit hain, toh ek vaidya ya healthcare professional se salah lena hamesha achha hota hai.
Conclusion:
Aloevera humari skin ke liye bahut hi faydemand sabit hota hai. Ye humari skin ko nourish kerta hai or healthy banata hai. Ye humare balon ke liye bahut hi asarkarak hai, ye humare balon ko lamba, kala, ghana or mulayam banata hai. Humari bejan or rookhi twacha ko shiny, soft or bedagh banata hai.
Aloevera hyperpigmentation,acne or acne marks, dark circles or dull skin or skin tanning me sabse zyada kaam aane wala or asarkari upay hai.
FAQ: (FREQUENTLY ASKED QUESTIONS)
Q.1-) Aloevera garm hai ya thanda ?
Ans-) Aloe vera ko thanda mana jata hai. Jab aap aloe vera gel ko istemal karte hain, tab woh thanda lagega. Aloe vera gel apne thandi prakriti aur usme maujood jal ko dhyan mein rakhte hue thanda lagega. Isliye, aap aloe vera gel ko seedha aise hi istemal kar sakte hain ya phir use thanda karne ke liye refrigerator mein bhi rakh sakte hain.
No comments: